Wednesday, November 11, 2009

Kutta, Sher Aur Bandar ki kahani

Ek din ek kutta jungle main raasta kho gaya. Tabhi usne dekha ek sher uskii taraf aa raha hai. Kutte ki saans rookh gayi. "Aaj to kaam tamaam mera!"

usne socha. Phir usne saamane kuchh sookhi haddiyan padi dekhi. Woh aate hue sher ki taraf peeth kar ke baith gaya aur ek sookhi hadii ko choosne laga aur zor zor se bolne laga, "wah! Sher ko khaane ka mazaa hi kuch aur hai. Ek aur mil jaaye to poori daawat ho jayegi!"


Aur usne zor se dakaar mara. Is bar sher soch mein pad gayaa. Usne socha "ye kutta to sher ka shikar karta hai! Jaan bacha kara bhago!"

Aur sher wahan se jaan bachaa ke bhaaga.


Ped par baitha ek Bandar yeh sab tamasha dekh raha tha. Usne socha yeh mauka achha hai sher ko saari kahani bata deta hoon - sher se dosti ho jayegi aur usse zindagi bhar ke liye jaan ka khatra dur ho jayega.. Woh phataphat sher ke pichhe bhaaga. Kutte ne Bandar ko jaate hue dekh liya aur samajh gayaki koi locha hai. Udhar Bandar ne sher ko sab bata diya ki kaise kutte ne use bewakoof banaya hai. Sher zor se dahada, "chal mere saath abhi uski leela khatam karta hoon" aur Bandar ko apani peeth par baitha kar sher kutte ki taraf lapka.

Can u imagine the quick management by the DOG...

-

-

-

-

-

-

-

-

-

-

-

-

-

-

Kutte ne sher ko aate dekha to ek baar phir uskii taraf peeth karke baith gaya aur zor zor se bolne laga, "Is Bandar ko bhej ke 1 ghanta ho gaya, saala ek sher phasaa kar nahi la sakta!"

Moral of the story: There are many such monkeys around us, try to identify them.

No comments: